HOW TO CREATE ADMOB ACCOUNT AND HOW TO CREATE BANNER ADS AND INTERSTITIAL ADS CODE

Dosto aaj ki is post me mein Apko yeh Bataunga ki Admob account kya hai aur aap kaise isme apna account create kar sakte hai aur kaise aap Banner Ads code aur interstitial ads code ko create kar sakte hai.


What is Admob Account?|Admob account क्या है ?

Admob Account ek google ka hi product hai jiske jariye aap apne apps mein Ads show karwa kar use money earn kar sakte hai.Admob account create karke apko waha se Ads code generate karna hota hai aur fir aap us code ko apne mobile apps mein show kar sakte hai aur jab koi Apps user apke ads ko dekhega ya usme click karega to apko use earning hogi.To friends ab apko yeh to pata chal hi gaya hoga ki admob account kya hai.To chaliye ab jaan lete hai ki kaise hum apna khud ka ek Admob account Create kar sakte hai.Admob account banane ke liye apke pass ek gmail account hona anivarya hai agar apke pass gmail account nahi hai to aap pahle apna ek gmail account bana le.

Steps To Create Admob Account 

Step 1:Sabse pahle apko apna browser open karna hai aur usme url address mein type karna hai "admob sign up" aur search karna hai fir apke pass kuch results ajayenge niche screenshot mein dekhe apko first link mein click karna hoga.


Step 2:Jaise hi ap link par click karenge apke apko gmail account ki details enter karne ke liye option ayega tab apko waha par apne gmail account ki details ko fill kardena hoga.


Step 3:Jaise hi aap gmail account ki details enter karenge to apke pass kuch aisa page khulkar ayega jisme apki personal details mangi jayegi apko use ache se fill kardena hai.niche screen shot dekhe.


Aur fir apko i agree ke checkbox mein click karke next par click kardena hai.

Step 4:Apke next par click karte hi ek confirmation ka message aajayega jisme likha hoga your admob account is successfully created.To friends is tarah se aap asani se apna admob account create kar sakte hai.

How to Create Banner Id Ads And Interstial ad unit id

Step 1:Sabse pahle apko admob login karlena hai usme aap ke option mein click karey fir kuch aisa page khulkar ayega.


Step 2:Ab apko yaha yeh pucha jayega ki kya apne apni apps ko play store ya app store mein publish kiya hua hai to agar apne publish kiya ho to aap yes kar sakte aur agar nahi kiya hua hai to aap simply no par karey.


Step 3:Ab apko yaha par apni App ka name enter karna hoga aur platform(Android/iOS) bhi select karna hoga. uske baad simply add button par click kardey.


Step 5:Fir apko Next:create ad unit mein click karna hai,jaise hi aap click karenge to apke pass kuch aisa page khulega.


Step 6:Ab apko yaha 4 categories dikhayi dengi

  1. banner
  2. Interstitial
  3. Rewarded Video
  4. Native
Inme se aap apni app mein koi sa bhi ad unit generate kar sakte hai to abhi example ke liye mein apko banner ad unit id create karke bataunga baaki sabhi bhi isi same way mein ap create kar sakte hai.Banner ad unit create karne ke liye apko banner wale option ko select karna hoga jaise aap select karenge to apko aise option dikhenge niche image mein dekhe 



Ab simply apko yaha par ad unit ka name enter karna hai aur save button par click karna hai aur bus apka ad unit id ban jayega aur kuch aisa page dikhega apko.




Dosto ab aap apne admob ke home page mein aajaye aur waha se ap apne banner unit id ko copy kar sakte hai.Niche di hui image ko dekhe 


Step 7:Friends apne ad unit code to generate karliya hai ab sawal ata hai ki kaise aap is code ko apni android mein place kar sakte hai jise ki apke android apps mein ads show ho aur apko use earning bhi ho.To dosto uske liye bus apko apne appgeysar account mein login karke uske dashboard mein apko monetize name ka ek option milega us par click kardey.Aur fir apke pass kuch aisa page ayega.


Ab simply apne jo Banner ad unit id upar copy kari thi usko is jagah paste kardijiye aur same way me aap interstitial ad unit id bhi paste kar dena fir save button mein click kardena aur bus fir apki app monetize ho jayegi aur apke app mein ads ane lag jayegi 

Note:Appgeysar website ka ek rule hai wo yeh ki agar apki apps install 100 nahi hote hai to apke app mein kewal appgeysar ke hi ads show honge jab apke app ke 100 install se jyada ho jayenge to hi apke admob ke ads show honge aur fir uske bad hi apki earning hona start hoga.To is baat ka aap jarur dhayan rakhe friends.

To dosto i hope ki apko samaj mein agaya hoga ki kaise aap admob account ko create karke uske jariye apne android app mein ads show karwa sakte hai aur uske jariye money bhi earn kar sakte hai.

Friends fir bhi agar apke man mein koi bhi sawal ho to aap comment kar sakte hai mein instant apka reply kardunga aur post agar apko achi lagi ho to ise share bhi kardena because sharing is caring.



Previous
Next Post »