What is Blogging?|ब्लॉग्गिंग क्या है?
Blogging ko janne se pahle mein apko yeh bata deta hun ke blog kya hota hai.Dosto blog ek tarah ki website hi hoti hai jisme log apne interest ke related post share karte hai regularly example ke liye jaise ki kisi ka shoukh hai khana banane mein to wo apne khana banane ke recipe ko apne blog mein share kar sakta hai.To ab aap yeh soch rahe honge ki fir website aur blogs mein kya difference hota hai.Websites aur Blogs mein jyada fark nahi hota hai lekin jo websites hoti hai wo apko particular koi services provide karti hai aur usko regular updates nhi kiya jata hai lekin dusri aur agar hum bat kare Blogs ki to blogs mein humko daily updation krna hota hai.
Blogs ko banana aur fir usko regular update karte rahne ko hi hum Blogging kehte hai.
To ab bat aati hai ki hum blogs ko kaise banaye aur kya blog free mein bana sakte hai ya uski koi fees lagti hai?
Dosto blogs ko aap dono hi platform mein use kar sakte ho agar aap chahte ho free mein blog banana to aap mera yeh post bhi read kar sakte ho jiska link niche hai.
Waise agar aap blogging ki shuruwat karna chahte hai to aap pahle free ke option ko use karsakte hai.Lekin yadi apko khud ka ek professional blog banana hai to fir apko blog banane ke liye thoda investment karna padega.Apko Domain name buy karna hoga aur sath hi sath hosting bhi purchase karna hoga to agar aap iske bare mein adhik janaa chahte hai to mere post ko pad sakte hai link niche diya hua hai maine.
Link:How to Buy domain name and hosting for blogs
How to Earn From Blogging?ब्लॉग्गिंग से कैसे कमाए
To ab apne apna blog bana liya hai ab baat aati hai ki aap isse online money ko kaise earn kar sakte hai.To wo mein apko ab batata hun.Dosto apko sabse pahle iske liye apne blog kuch post likhne hote hai jo ki original apka content ho. Kam se kam 20 se 25 post likhe jo ki 800 se 1000 words ke ho fir uske baad aap apne us blog mein GOOGLE ADSENSE ke ads show karne ke liye adsense ko request kar sakte hai.adsense mein request karne se pahle apko kuch bato ko dhyan rakhna hota hai janne ke liye niche link mein click karke aap mere post ko read kre
Link:blog mein adsense ko request karne se pahle in baato ka rakhe khayal
Aur dosto agar apko nahi pata hai ki google adsense kya hota hai to mein apko bata deta hun GOOGLE ADSENSE se humare blogs mein ads show hoti hai jisme agar koi user click karta hai to google uske paise humko pay karta hai.Adsense world ka number 1 advertising network hai.To dosto blogging mein GOOGLE ADSENSE ka approval milna bahut muskil kaam hota hai but agar apka content unique hai to fir apko approval mil jata hai.Ek baar approval mil jane ke baad ap apne blog ko monetize kar sakte hai fir usse money bhi earn kar sakte hai.dosto agar apko nahi pata hai ki google adsense kya hai to aap yeh post jarur pade link niche diya hai.
Dosto Blogging mein agar apko adsense approval nahi mil pata hai to bhi aap nirash naa ho kyu ki aap third party ke advister(jaise ki infolinks,media.net,propellerads etc) ke ads lagakar bhi money earn kar sakte hai friends.Blogging se earning karne ke kuch tarike is prakar se hai.
- Adsense ke jariye aap money ko earn kar sakte hai
- Dosto Aap Affiliate marketing karke bhi bahut sari earning kar saakte hai(jaise amazon,flipkar ke product ke affiliate links ko blog mein laga kar use bhi earning kar sakte hai)
Link:Amazon se kaise earning karte hai
- Sponsership karke bhi paisa kamaya jaa sakta hai blogging se but yeh thoda muskil kaam hota hai kyu ki iske liye apke blog mein bahut sara traffic hona chahiye tabhi apko sponsership mil payegi
To dosto umid hai apko mera yeh post acha laga hoga agar apko pasand aaya ye post to please share kare apne un sabhi dosto ke sath jo online earning karna chahtey hai because sharing is caring.
ConversionConversion EmoticonEmoticon