HOW TO MAKE FREE WEBSITES/BLOGS IN WORDPRESS IN 5 MINUTES ONLY ? | वर्डप्रेस में फ्री ब्लॉग कैसे बनाये 5 मिनट में?



Dosto aaj ke is article mein apko bahut interesting jankari dunga mein aaj apko bataunga ki kaise aap free mein khud  ka ek professional blog bana sakte hai wo bhi wordpress mein.Jaise ki pata hai ki free mein blog banane ke liye aap blogger.com ka use kar sakte hai lekin yadi aap wordpress ko sikhna chahte hai aur uske customization ko ache se implement karna chahte hai to aap wordpress mein free blog banakar sikh sakte hai lekin agar aap wordpress blog se earning karna chahte hai to uske liye apko domain name aur hosting service purchase karni hogi.

वर्डप्रेस क्या है ?|WHAT IS WORDPRESS? 

Wordpress ek free aur open source CMS(Content Management System) hai jo ki PHP aur MySql par based hai.Aaj internet mein bahut sari aise websites hai jo ki wordpress mein bani hui hai example, shoutmeloud.com etc.Wordpress mein website ko banana bahut hi asaan hota hai.Wordpress mein aap easily website ko customize kar sakte hai aur wordpress mein bahut se plugins aur themes hoti hai jinka use karke aap bahut hi asani ke sath apna website ya fir blog bana sakte hai.

Dosto waise to aap agar wordpress ka platform choose karna chahte hai blogging ke liye to ye ek bahut hi best option hai lekin free mein agar apko blogging karni hai aur aap blogging se money ko bhi earn karna chahte hai to apke liye Blogger.com se best aur koi platform nahi hai.

Mein apko suggest karunga ki agar aap wordpress ko bahut ache se sikhna chahte hai tab aap is tarah se free mein wordpress ka blog ya website bana sakte hai.

How To Make Free Websites/Blogs in Wordpress

Dosto wordpress mein free blog ya website banane ke liye aap niche diye sare steps ko follow kare:

STEP 1:Sabse pahle aap apna browser open karle fir aap waha url address ki jagah par type kare wordpress.com ya link mein click karke bhi aap open kar sakte hai website ko.


STEP 2:Ap upar image mein dekh sakte hai aisa page ayega apke pass ab aap get started button par click karde.Click karne par apko kuch aise option dikhayi denge.Niche image mein dekhe 


STEP 3:Ab dosto agar aap website banana chahte hai to website ka option select karey ya blog banana chahte hai to blog wala option select kar sakte hai.


STEP 4:Ab is option mein se aap koi si bhi theme ko select kar sakte hai ya is option ko abhi ke liye skip bhi kar sakte hai aap.mein abhi koi bhi ek theme ko select kar raha hun.Select karne ke baad apko kuch aise screen dikhayi degi.


STEP 5:To dosto aap uper image dekh sakte hai agar apko free mein blog banana hai to aap bhi aise hi koi bhi name likhe to apko free wala option bhi aajayega jisme apke diye huye name ke age wordpress.com likha hoga to ab apko is free wale domain name ko select kar dena hai.


phir apko yeh kuch option dekhne ko milenge jinme se aap free wala option select kar sakte hai Best for student wala plan jo ki bilkul free hai friends.

STEP 5:Jaise hi aap start with free button mein click karenge to apke pass kuch aisa page khulkar ayega.

ab apko is page mein apna email address,username aur password enter kardena hoga aur uske baad continue par click karna hoga.Friends jaise ap continue button par click karenge to apko kuch aise page dekhne ko milega.


To dosto apki wordpress website ban gayi hai aur aap View My Site buttton par click karke site ko visit kar sakte hai aur usko customize bhi kar sakte hai.agar aap janna chahte hai ki wordpress ki website ya blog ko kaise customize kare,themes ko kaise set kare to ap mera post read kar sakte hai link niche diya gaya hai.

Link:How To Customize Wordpress Blogs/Websites?|वर्डप्रेस ब्लॉग/वेबसाइट को कैसे कस्टमाइज करे 

To dosto umid karta hun ki apko samaj mein aagaya hoga ki kaise aap wordpress ke jariye apna free blog ya website create kar sakte hai wo bhi sirf 5 minute mein aur agar fir bhi apke man koi sawal hai to aap mujse puch sakte hai niche comment karke ya direct muje email bhi bhej sakte hai.To agar apko yeh post acha laga hai to please ise share kare apne sabhi friends ke sath because sharing is caring.


Previous
Next Post »