Dosto aajkal sabhi log online paisa kamana chahte hai aur uske liye alag alag tarah ke website ko use karte hai lekin aaj mein apko online paise kamane ke ek genuine tarike ke baare mein bataunga jo ki apko bahut help karega online paisa kamane mein.
Dosto jis tarike ki mein baat kara hun wo hai BLOGGING.blogging ek bahut acha jariya hai online rupey earning karne ke liye.Aur dosto agar apko nahi pata hai ki blogging kya hota hai to aap mera yeh blog read karey
Link:What is blogging?ब्लॉग्गिंग क्या है और इससे कैसे रुपए कमा सकते है.
Dosto agar aap bhi apna khud ka ek blog banana chahte hai to aap free mein bhi blog ko create kar sakte hai wo bhi sirf kuch minutes mein so friends is article mein maine apko yahi btaya hua hai ki kaise ap apne liye ek free ka blog create kar sakte hai aur fr use paise bhi kama sakte hai.
फ्री में ब्लॉग बनाने के स्टेप्स |FREE MEIN BLOG CREATE KE STEPS:
STEP 1:Sabse pahle to apke pass ek gmail id hona jaruri hai agar apke pass koi gmail account nahi hai to pahle ap gmail.com par jakar apna khud ka ek gmail account bana sakte hai.
STEP 2:Jab aap apna gmail account bana le to use ke bad aap apne browser ke url mein type karey www.blogger.com aur fir jo site khulkar ayegi wo kuch aise dikhegi apko
STEP 3:Ab apko create your blog button mein click karna hai.jaise hi aap is par click karenge to apko apki gmail id aur uska password enter karne ke liye option dikhayi dega.
STEP 4:Apko apne gmail account ka username aur password enter karke next par click kardena hai aur jaise hi aap next par click karenge to apke pass kuch aise display ayegi.
STEP 5: Ab apko Title wale option mein apne blog ka title likhna hai aur niche address mein apko koi sa bhi unique name rakhna hai,for example,techmedude.blogspot.com etc.Dosto yeh blogspot.com domain apke website mein likhkar ayega agar aap free mein blog banayenge to lekin agar aap chahte hai ki apki website mein ye blogspot.com likhar naa aye sirf website ka naam dikhe jaise ki techmedude.com to uske liye apko thode se paise lagane honge khud ka ek domain buy karna hoga.Aur agar ap janna chahte hai ki domain name kya hai kaise isko buy karey to ap meri ye post read kar sakte hai ap.
Link:Domain Name kya hota hai?Aur kaise hum blogspot.com ko domain name se replace kar sakte hai
STEP 6:Itna karne ke baad ek koi si bhi theme ko select karlijiye aap aur fir uske baad aap create blog button mein click karey.click karne ke bad apka khud ka free blog ban jayega aur apko kuch is tarah ki display dikhayi degi.
To dosto yeh apke blog ka backend hota hai yaha se aap apne blog ke liye articles ko post kar sakte ho aur sari setting bhi yahi se hoti hai.
Dosto umid hai ki apko mera yeh post pasand aya hoga agar apko pasand aya hai to aap is knowledge ko apne dosto ke sath bhi share kare because sharing is caring.
ConversionConversion EmoticonEmoticon